Hello Friends,
Friends Aaj mai Aap sabhi ko batane wala hun ki kaise Google Gmail Account Create karte hain, Doston aaj ke Morden samay me Gmail Account ya aapka Google par Account Na Hona mobile men SIM card na Hone jaisa hai, Aaj Ke samay me Duniya bhar me anginat logon ke hathon me mobile device aa chuke hain, Mobiles ki sankhya itne jyada ho chuki hai ki use Count karna Aasan nhi hai, To doston is mobile ke kayi Applications ko Open karne ke liye Google Gmail or Google Account Hona Aniwarya hai, iski madd se hi aap Youtube, Gmail, PlayStore aadi tamam Google ke applications ko khol sakte hain,
agar Google Gmail Account apke paas nhi hai to aap kayi applications ko kabhi nhi khol sakte hain, To doston aaj main isi Google Gmail or Google Account ko Create karne ke bare me aapko batane jaa rha hun, To chaliye shuru karte hain…
Doston sabse pahle aapko apne PC ya Computer me install koyi bhi Internet Browser kholna hai, chahe aapke paas Mozila FireFox ho ya Google Chrome Ho, Ya aap Internet Explorer par bhi Google Gmail or Google Account ko Create kar sakte hain,
Doston Internet Browser kholne ke bad aapko internet Browser me Google.Com type karna hai,
ya aap sidhe mere dwara diye gaye link par click karke New Google Account Banane ke Process page par jaa sakte hain Create Google Account Click Here
Upar diye gaye link par click karne ke baad aapke samne kuchh is tarah ka interface khulega, jahan par aapko Create Account par click kar dena hai, Create Account par click karne ke baad aapke samne 2 Option khilenge, Jisme pahle likha hoga For Myself aur Dusara Option To manage My Business, jisme aapko For Myself par Click karna hai,
For Myself par click karne ke baad aapke samne aapke New Google Account banane ke liye Details Form khul jayega, isme aapko apna First Name, Last Name, User Name aur Apne man pasand ka koyi bhi Unique Password banana hai, Form me pura details bharne ke baad aapko Next par click kar dena hai, Next par click karne ke baad aapko apna mobile number likhna hai, Jispar ek OTP (one Time Password) aayega uske baad aap apne mobile number ko verify kar lijiye,
jaise hi apka mobile number verification complete hoga waise hi aapka ek Google Gmail oo Google Account bankar ready ho jayega, ab aap apne gmail ko kahin bhi use kar sakte hai, is gmail ko aap apni jankari ke liye kahin likh kar bhi rakh sakte hai,
Doston aaj 20vin shatabdi me Google Gmail massaging ka sabse Secure aur Powerfull Tool mana jata hai, aaj ke samay men Government, Business, Personal aadi tamam jagahon par Google Gmail Account ka Prayog Officially kiya jata hai, jisme log Text Files, Messages, Photos ko bade hi aasani se bhejte hai,
Doston Gmail se Bheja jane wala har ek file ko Google ke virtual Robots scan karke praptkarta tak pahunchane me madd karte hain, jisase Gmail se koyi bhi files Downlode karne par apke PC or Computer me virus nhi aate hain,
To doston ummid hai ki ab aapko Gmail or Google Account create karna aa gaya hoga, ab aapka apna ek gmail account bhi ho sakta hai, aur aap bhi internet ki diniya ka pura aanand le sakte hain , doston agar hamare dwara di gayi jankari aapko achhi lagi ho to hamare is post ko apne friends me jaru Share karen
Thank You.
Top Searches – how to google account, accounts google com signupwithoutgmail, how to set google account, free google accounts, steps for creating gmail account, how to create a gmail account tutorial, how to create a gmail account easily, google account no gmail,
Be First to Comment